Thursday 1 December 2011

Tilla e Zainabiya

If there was one place that I yearned to go to,
If there was one place I dreaded going to,
If there was one place where not just me but everyone breaks down,
It is Tilla e Zainabiya

I had visited karbala e Moalla when I was a child in 1960 and i had vague recollections of the place.
I had ften heard it described in majalis and by my mother as that heart breaking spot from where Janab e Zainab a.s., the mazloom, the sher dil khatoon had watched her beloved brother Imam Hussain a.s. attain martyrdom.

This is the high point between the khaima gaah and the qatal gaah , where on 10th Moharrum, the day we commemorate as Aashoora , Janab e Zainab a.s. stood to gain a vantage point.

From here she could see what was happening on the battle field.

A lady who like her mother ,Janab e Fatima Zehra a.s , valued pardah, ran out of the khaima gaah in anguish to see her beloved brother for the last time.


"Tadap kar Yaaso Hazrat ne pukaraa Zainab Ai Zainab
Tera maajaaya marne ko sidhaara Zainab Ai Zainab".


From this small hillock Janabe Zainab A.S. could see Imam Hussein A.S. when he fell from the horse during the battle and was martyred.
There used to be a small mawam earlier but now a grand structure has been made.
Maqam has been built on this spot where zawars recite 2 rakaat namaaz.


on Tilla-e-Zainabiya its written Al salam alaiki Ya Jabal al Sabr


When you go inside and stand in the very place where janab e Zainab a.s. stood your heart will break.
Most of the ziareens were sobbing uncontrollably at what they imagined in their mind's eye but the lion hearted daughter of Ali a.s. actually saw.

My words don't have the strength and so I will leave you with the words of Mir Anis on what my Mazloom Bibi saw that fateful afternoon.


Aayi nidaye ghaib ke Shabbeer marhaba
Is haath ke liye thi ye shamsheer marhaba

Ye aabru ye jang ye tauqeer marhaba
Dikhlaadi maa ke doodh ki taaseer marhaba

Ghalib kiya Khuda ne tujhe kainaat par
Bas khatima jihaad ka hai teri zaat par

Bas ab na kar wigha ki hawas ay Hussain bas
Dam le hawa mein chand nafas ay Hussain bas

Garmi se haampta hai faras ay Hussain bas
Waqte namaz e asr hai bas ay Hussain bas

Pyasa larra nahi koi yoon isdehaam mein
Ab ehtemaam chahiye ummat ke kaam mein

Labbaik kahke taegh rakhi Shay ne miyaan mein
Palti sipaah aayi qayamat jahaan mein

Phir sarkasho ne teer milaye kamaan mein
Phir khul gaye lipat ke pharere nishaan mein

Bekas Hussain zulm shiaroon mein ghir gaye
Moula tumharey laakh sawaroon mein ghir gaye

Seene pe saamne se chaley das hazaar teer
Chaati pe lag gaye kayi sou ek baar teer

Pahlu ke paar barchiyaan seene ke paar teer
Parrtey thay das jo khainchte thay tan se chaar teer

Yoon thay khudang Zille Ilahi ke jism par
Jis tarha khaar hoti hai sahi ke jism par

Chaltey thay chaar simt se bhaley Hussain par
Toote huwe thay barchiyoon waley Hussain par

Qatil thay khanjaroon ko nikaley Hussain par
Ye dukh Nabi ki godh ke paley Hussain par

Teer e sitam nikaalne wala koi nahin
Girtey thay aur sambhaalne wala koi nahin

Zakhmo se chur chur huwa Fatima ka laal
Sarde riyaaz Ahmad o Hyder huwa nidhaal

Chehre pa khoon mal ke basad hasrat o malaal
Ki arz Shay ne shukr hai ay Rabb e Zuljalaal

Bachpan se roz o shab thi yahi aarzu mujhe
Ya Rabb tere karam ne kiya surkhuru mujhe

Is haal se jo saif ki shiddat huwi siwa
Sadma huwa juda taab tashnagi juda

Aashista rahwaar se Hazrat ne ye kaha
Ab waqt hai wida ka ay asb e ba wafa

Jangal mein ghar Batool ka lut ta hai Zuljanaah
Ab saath ek umr ka chut ta ha Zuljanaah

Ay khush kharaam ab na bachega tera sawaar
Ab ye gulu e khushk hai aur taegh e aabdaar

Ab laash par ghareeb ke daudeinge rahwaar
Pamaal hoga ab Shahe mardoon ka gulezaar

Baithega seena e pisar e Bu Turaab par
Qatil dharega paaon Khuda ki kitaab par

Zalim mere galey pa jo khanjar phiraega
Tujh se ye haal qahr ka dekha na jaaega

Naala haram ka hashr zamane mein laaega
Farte gham o alam se jigar thar tharaega

Ab hoga saamna qalaq o izteraar ka
Naize pe sar chadhega tere shahsawaar ka

Laakhon mein ek bekas o dilgeer hai hai
Farzand e Fatima ki ye tauqeer hai hai

Bhaaley wo aur pahlu e Shabbeer hai hai
Wo zahr mein bhujaye huwe teer hai hai

Ghussey mein thay jo fauj ke sarkash bharey huwe
Khali kiye Hussain pe tarkash bharey huwe

Wo gard thi jo bhaagtey phirtey thay waqt e jang
Ek sangdil ne paas se mara jabeen pa sang

Sadme se zard hogaya sibt e Nabi ka rang
Mathey pa haath tha ke galey par laga khudang

Thama gala janaab ne mathey ko chorr ke
Nikla woh teer halq e mubarak ko torr ke

Likha hai teen bhaal ka tha naawake sitam
Munh khul gaya ulat gayi gardan ruka jo dam

Khainchi sari galey ki taraf se ba chashme nam
Bhalein nikaley pusht ki jaanib se hokey kham

Ubla jo khoon nikalta huwa dam tahar gaya
Chullu rakha jo zakhm ke nichey tou bhar gaya

Girtey hain ab Hussain faras par se hai ghazab
Nikli rikaab paaye mutahhar se hai ghazab

Pahlu shigaafta huwa khanjar se hai ghazab
Ghash mein jhukey amama gira sar se hai ghazab

Quran rahle zeen se sar e farsh gir parra
Dewaar e Kaba baith gayi arsh gir parra

Gir kar kabhi uthey kabhi rakha zamee pa sar
Ugla kabhi lahu tou sambhala kabhi jigar

Hasrat se ki khayaam ki janib kabhi nazar
Karwat kabhi tarrap ke idhar li kabhi udhar

Uth baithey jab tou zakhm se barchi ke phal girey
Teer aur tan mein gadd gaye jab munh ke bhal girey

Jangal mein aayi Fatima Zahra ki ye sada
Ummat ne mujhko loot liya wa Mohammada

Is waqt kon haqq e mohabbat karey ada
Hai hai ye zulm aur dou aalam ka muqtara

Unnees sou hai zakhm taney chaak chaak par
Zainab nikal Hussain tarrapta hai khaak par

Zahra idhar tarrap ke giri aur haram udhar
Qatil ne taegh phaer di Sayyad ke halq par

Haatif ne aasmaan se sada di pukaar kar
Faryaad kat gaya pisar e Fatima ka sar

Be jaan lab e furaat e Shahe tashna lab huwa
Mara gaya Imame zamaan tou ghazab huwa

Dekha jo Ahlebait e Nabi ne utha ke sar
Naizey pe aaftaab e Imamat parra nazar

Daude saroon pa khaak udhatey ba chashme tar
Dekha ye haal jab sarey baleen huwa guzar

Taza lahu rawaan hai taney paash paash se
Takbeer ki sada chali aati hai laash se

Pardah ulat ke binte Ali nikli ba chashm e tar
Larzaan qadam khameeda kamar gharke khoon jigar

Charoon taraf pukaarti thi sar ko peet kar
Ay Karbala bata tera mehmaan hai kidhar

Amma qadam ab uthte nahi tashnakaam ke
Pahuncha dou laash par mere bazu ko thaam ke

Bhayya mein ab kahan se tumhein laaon kya karoon
Kya kahke apne dil ko mein samjhaaon kya karoon

Kiski duhayi doon kisey chillaaon kya karoon
Basti parayi hai mein kidhar jaaon kya karoon

Dunya tamaam ujarr gayi veerana ho gaya
Baithoon kahan ke ghar tou azakhana ho gaya

Hai hai tumharey aagey na khwahar guzar gayi
Bhayya batao kya tahey khanjar guzar gayi

Aayi sada na pooch jo hum par guzar gayi
Sad shukr jo guzar gayi behtar guzar gayi

Sar kat gaya hamey tou alam se firaagh hai
Gar hai tou bas tumhari judayi ka daagh hai

Haan aashiqon Hussain ke aah o buka karo
Zahra ka saath do madad e Mustafa karo

Haqq e mohabbat e Shahe wala ada karo
Be sar huwe Hussain qayamat bapa karo

Samjho shareek e majlis e matam Rasool ko
Sab milke dou Hussain ka pursa Batool ko

Bas ay Anees zauf se larzaan hai band band
Aalam mein yaadgaar raheinge ye chand band

Tapke qalam se zauf mein kya kya buland band
Aalam pasand lafzein hain sultaan pasand band

Ye fasl aur ye bazm e aza yaadgaar hai
Peeri ke walwale hain khiza ki bahaar hai